Muhajiro ne Hazrat Mahdi Ahs se arz kiya k

Muhajiro ne Hazrat Mahdi Ahs se arz kiya k khundkar k bad hum sab Aap Ahs k maqbareh k paas rahenge.

Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya humari qabar khol kar dekho agar banda qabar me rahe to banda Mahdi nahi, Humara muddua (Khuda ka zikr) tumhare darmiyan rahe aur tum jahan kahin raho banda tumhare darmiyan hai.

(Hashia Insaaf Nama - Hashia Sharif, N.77)

Bandagi Miyan Nizam Rz. ne farmaya...

Bandagi Miyan Nizam Rz. ne farmaya jo shakhs himmat se Khuda ki talab ikhtiyar karta hai tou is k liye bahut aasani hoti hai aur jis ko himmat na ho badi mushkil hoti hai.

(Hashia Insaaf Nama - Hashia Sharif, 89)

Kisi shakhs ne Bandagi Miyan Syed Khundmir Rz. se arz kiya k...

Kisi shakhs ne Bandagi Miyan Syed Khundmir Rz. se arz kiya k mardangi aur bahaduri in faqiroun ki buland hai.

Miyan Rz. ne farmaya k ye fuqara zaeef hain Khuda-e-Ta'ala k saath sulah kar liye hain, Khuda ki khushnudi mein apni zaat ko Khuda k hawale kar diye hain.

Tumhari bahaduri bahut hai Khuda aur Rasool SAS aur farishtoun ka muqabala kartey ho aur dozakh ka azaab ikhtiyar karte ho tumhari shuja'at badi hai.

(Hashia Insaaf Nama - Hashia Sharif, N.43)

Farman e Hzarat Mahedi Ahs...

Hazrat Mahedi Ahs nay farmaya k Deen sarapa Insaaf hai, yani tum insaaf karo Khuda tum par raham kare.

(Insaaf Nama - Matan Sharif N.8)

Farmane Hzarat Mahedi Ahs...

Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya k agar koi shaqs bande se koi naql kare to chahiye k is Naql ko dekhe agar Khuda-e-Tala k kalam k muwafiq hai to wo (Naql) bande se hai aur agar Khuda-e-Tala k kalam k muwafiq nahi hai to wo bande se nahi hai ya wo shaqs humari baat ko samajh na saka.

(Insaaf Nama - Matan Sharif N.11)

Hazrat Mahedi Ahs ne farmaya ke meri tasdiq ki nishani ye hai k...

Hazrat Mahedi Ahs ne farmaya ke meri tasdiq ki nishani ye hai ke na-mard mard hota hai yani talib-e-dunya phir Talib-e-Zaat-e-Khuda-e-Ta'ala hota hai aur bakheel sakhi hota hai yani jo shakhs Khuda-e-Ta'ala ki rah mein ek dinar nahi de sakta wahi shakhs apni jaan Khuda ke hawale kardeta hai aur ummi Alim hota hai yani jo shakhs ek harf nahi janta Qur'an ke mani bayan karta hai.

(Hashia Insaaf Nama - Hashia Sharif, N16)

Farman e Mahedi Ahs...

Neez Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya " jo Humaray hain wo Muflis mareingay."

(Hashia Insaaf Nama - Hashia Sharif, N.25)