Hazrat Bandagi Miyan Syed Noor Mohammed rah.

Hazrat Bandagi Miyan Syed Noor Mohammed rah. Ki Wiladat Ba Saadat Khanbel (Gujrat) Mein 967 Hijri Mein Hui. Aap Hazrat Bandagi Miyan Syed Mehmood Saidanji Khatimul Murshideen raz. Ke Chauthey Farzand Hain. Walid Buzurgwar Ke Mureed Wa Faqeer Hain. Walid Ke Sohbat Yafta Hain. Walid Buzurgwar Ke Inteqal Ke Baad Aap Gujrat Se Hijrat Farma Kar Dakkan Tashreef Le Aaye Kuch Dinon Tak Aap Daulatabad Mein Apne Behanoee Hazrat Bandagi Miyan Syed Yousuf Bara Bani Israil rah. Ke Pass Tashreef Farma Rahey Phir Yahan Se Usmanabad (Dharasiv) Tashreef Le Gaye. Usmanabad Yeh Ilaqa Un Dinon Saltanate Nizam Shahi Ke Ek Ameer Nawab Darwesh Mohammed Ki Jageer Thi. Nawab Ko Hazrat Se Bahut Iradat Wa Aqidat Thi Isi Aqidat-E-Deeni Ke Tehat Nawab Darwesh Mohammed Ne Apni Ladki ka Nikah Aap Ke Farzand Miyan Syed Eisa Se kiya.

Usmanabad Ke Alawah Dakkan Ke Baaz Maqamat Par Bhi Aap Ka Qayam Raha, Lekin Hi Bahut Qaleel Muddat Ka Raha Gunjoti, Udgir Aur Kootgir Mein Aap Ne Aqamat Farmaya. Sabse Aakhir Mein Aap Ka Daira Manchappa (Nizamabad) Mein Raha. Yahee'n Par Aap Ne 17, Moharram 1030 Hijri Ko Wisal Farmaya. Manchappa Hi Mein Aap KA Mazar-E-Mubarak Waqey Hai. Manchappa Ka Daira Faqr O Tawakkal Ke Eitebar Se Bahut Aaliyat Aur Azeemat Ka Haamil Raha Sirf Fuqra Hi Is Daira Mein Rehtey Thhey Kasibeen Ko Daira Ke Andar Aaney Ki Ijazat Nahin Thi.
Hazrat Bandagi Miyan Syed Noor Mohammed rah. Apne Walid Buzurgwar Ke Badey Manzoor-E-Nazar Aur Chaheetey Farzand Thhey Aakhri Waqt Aap raz.(Syed Mehmood Saidanji Khatimul Murshideen raz.) Ne Unhein Yeh Basharat Sunayee "Noor Bhai Aakhir Banda Tujh Mein Hai".

Hazrat Shah Qasim rah. Farmatey Hain "Khuda-e-Taala Ne Miyan Mamoo Ko Is Liye Rakha Hai Ke Hum Logon Ko Maloom Ho Sakey Ke Deen-E-Mehdi ahs. Kya Hai Warna Hum Jo Kar Rahe Hain Usi Ko Deen Samajhtey."

Umoor-E-Deen Mein Hazrat Bandagi Miyan Syed Noor Mohammed rah. Ki Zaat-E-Giraami Haakimuz Zaman Hai. Aap Ki Zaat-E-Aqdass Apne Daur Ki Sahib-E-Fazal Shakhsiyat Rahi Hai. Aisa Maloom Hota Hai Ke Raah-E-Deen Par Chalaney Hath Mein Koda Utha Rakha Hai, Jahan Koi Ghalti Ya Laghzish Sarzad Huyee Bas Koda Pada. Betey, Khalifey Aur Fuqra Sab Ke Sath Ek Bartao Hai. Aap ne Deen Mein Kabhi Tasahal Aur Taghafal Ko Rawa Nahin Rakha Jahan Aina-E-Faqiri Ke Khilaf Koi Baat Dekhi Fauran Tanmbeeh Kardi Balke Baaz Waqt Daire Se Bahar Kar Diya Gaya.
Hazrat Banadagi Miyan Syed Noor Mohammed rah. Ke 10 Khulfa-E-Giraami Hain. Jin Mein Se 3 Khulfa Aise Hain Jinke Faiz Se Giroh-E-Mehdaviya Ke Taqreeban Ahl-E-Tareeqat Gharaney Behra Mand Hain. Woh 3 Khalifa Yeh Hain.

(1) Hazrat Bandagi Miyan Syed Aalam rah. Bin Hazrat Bandagi Miyan Shah Yaqoob Hasn-E-Wilayat rah.
(2) Hazrat Bandagi Miyan Shah Qasim rah.
(3) Hazrat Bandagi Miyan Shah Nusrat rah.

Hazrat Bandagi Miyan Syed Noor Mohammed rah. Ki Pehli Biwi Fathima rah. Hain Inke Inteqal Ke Baad Hazrat Bandagi Taj Mohammed rah. Ki Saheb Zaadi BiBi Aajey Sahiba rah. Se Aap Ka Aqad Hua. Jinsey Aapke 6 Farzand Aur 4 Dukhtar Huye. Iske Alawah BiBi Kha'n Naami Ek Bewah Se Nikah Farmaya Tha Jo Hazrat Ki Badi Manzoor-E-Nazar Thee'n.

FARZANDAN:-
(1) Hazrat Miyan Syed Ahmed rah.
(2) Hazrat Miyan Syed Eisa rah.
(3) Hazrat Miyan Syed Abdul Hayee rah.
(4) Hazrat Miyan Syed Abdul Qadar rah.
(5) Hazrat Miyan Syed Mubarak rah.
(6) Hazrat Miyan Syed Usman rah.

Information of Peer O Murshid Allahbakhash Miyan Mehdavi (Chanapatan, Karnatak)