log kis liye Mahdi Ahs ki mukhalifat kartey hain?"

Aur Neez Miyan Sher Malik Rzi. se manqul hai Aap ne Hazrat Mahdi AShs k huzur me arz kiya " jo kuch Khundkar farmate hain wo sab haq hai pas ye log (Mukhalifin-e-Mahdi Ahs) kis liye mukhalifat kartey hain?"
                        To Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya k ye "log zaeef hain agar un mein quwwat hoti to bande ko sangsar kartey. is liye k agar kisi ne kisi k mahboob ko bura kaha to aashiq kaisay khush ho?" 
                        "Dunya unki (Mukhalifin-e-Mahdi Ahs ki) mahboob hai aur yahan (Daira-e-Mahdi Ahs mein) raat din dunya ki mazammat hoti hai pas un ko (Aashiqan-e-Dunya ko) kyon accha malum ho?"
                       
               (Insaaf Nama - Matan Sharif, N.5)