Naqal hai jab Hazrat Syed Khundmir Rzi. ki Patan mein pehli mulaqat Hazrat Imamana Mehdi Ahs se hui, Mulaqat ke baad Khuda-e-taala ne daryaft kiya "Ai Syed Khundmir tu ne dekh liya, teri zaat se bashri kasafat ko hum ne kis hadd tak door kar diya hai, yeh tujh par hamara ehsan hai, pass iss ehsan ki shukr guzari mein too hamarey paas kya tohfa laya hai?
Hazrat Bandagi Miyan Syed Khundmir Rzi. ne arz kiya "Ai ! Mere Parwar digar ! Mujhey biwi aur bachchey nahin hain ke main unhein tujh par qurban kardoon, albatta sar ka yeh tohfa haazir karta hoon."
Hukm-e-khudawandi hua "Ai Syed Khundmir ! Hum tere Sar ke hi khwahish mand hain, jo koi hamari zaat ka talabgar ho, usey apne sar se hath dhona padta hai."
Hazrat siddeq-e-vilayat ne janabe baari taala mein arz kiya ke "Ai parwar digar ! Yeh ek sar kya hai agar sau (100) Sar bhi hon to tujh par qurban kar doonga."