Zikr ki Ahmiyat

Hazrat Bhai Muhajir Rzi. say manqul hai k Hazrat Mahdi Ahs ghar se hujray me do teen bar tashreef laye aur dekha k Ashaab Rzi. me se do sahabi RZ ek jagah baithe huwe the farmaya k "tum kya karte baithe ho?" arz kiya k Meeranji kuch deen ki hikayat kartey hain.

Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya "Bhaiyo! Zikr-e-Khuda k siwaye hikayat se Khuda ko na paoge."

(Hashiya Insaaf Nama - Hashiya Sharif, N.12)