Mahdi Ahs ka assi hazar tinke loutana...

Aur Neez Naql hai k Malik Ahmad Ishaaq Rz nay Bandagi Miyan Syed Khundmeer Rz se suna hai ke jis waqt Hazrat Mahdi Ahs shahr Budh gaye wahan ek saudagar muwafiq tha.

Miyan Syed Salaamullah Rz kisi kaam ke liye shahr gaye the us saudagar ke darwaze ke samnay say be-ikhtiyar aap ka guzar huwa..

us saudagar nay Miyan mazkur k haath say assi hazar tinke Mahdi Ahs ko bheja.

Hazrat Mahdi Ahs nay qubul nahi farmaya is k bad Miyan Syed Salaamullah Rz ne kaha Meeanjeo Khuda-e-Ta'ala bheja aur pahunchaya hai.

Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya ke tum kis liye laye? is ko Khuda ka bheja huwa nahi kahtee, is ko halal kahtey hain wa lekin halal-e-tayyib nahi kahte.

(Insaaf Nama - Matan Sharif, N.17)