Aur neez naql hai k Miyan Syed Khundmir Rz aur Miyan Makhdoom Rz ka hujra mutassil tha. Miyan Syed Khundmir Rz nay Miyan Makhdoom Rz say pucha k Hazrat Mahdi Ahs nay is ayat ka bayan kya farmaya yani "Bil Ghuduwwi wal Aasaal" (Subah wa Shaam) (7:205).
Is k bad Miyan Syed Khundmir Rz nay afsoos kiya k humne kis qadar waqt zaya kiya jo bad maghrib laini guftagu ki aur farmaya "pas jo shakhs maghrib k bad zikr k siwaye laini guftagu karta hai ye Mahdi Ahs k khilaf hai.
(Insaaf Nama - Matan Sharif, N.69)