La ilaha ilallah momin k dil par

Neez naql hai Hazrat Mahdi Ahs nay farmaya "Agar La ilaha ilallah momin k dil par is qadar tahar jaye jaisa k ek ghar ruyi say bahra huwa ho wahan ek chingari dal di jaye aur usi waqt nikal li jaye tou jis jagah k wo chingari dali jati hai wo jagah jal jati hai. lekin  La ilaha ilallah ki sifat aisi hai k ghairullah ki sari muhabbatoun ko jala deti hai."

Hum par afsoos hai k humari tamam umr mein ek bar bhi aisa na huwa k humaray dil par La ilaha ilallah itni miqdar tahar jaye.

(Insaaf Nama - Matan Sharif, N.19)