Hazrat Mahdi Ahs ne farmaya ke.
"rizq ke liye jo tawakkul kiya jaye wo tawakkul nahi."
kyon k rizq k mutaliq tou Khuda-e-Taala wada farma chuka hai ke,
"Aur nahi hai koi jaandar zamin mein magar Allah par hai rizq is ka (11:6)"
ye wada Khuda ka hai agar is wade par imaan rakhta hai to momin hai, warna kafir hai. kyon ke agar kafir tujh se wada kare ke aaj main tujh ko mehman rakhounga to tu is ke wade par tamam roz bhuka rahta hai aur kuch nahi khata. Pas wada Khuda-e-Ta'ala ka hai k Sadiq-ul-Wa'ad hai.
(Insaaf Nama - Matan Sharif, N_21)